Saturday, October 4, 2008

aa jaye pal jab banke toofani hawayein
Cha jaaye zindagi par kaali ghata ke saayein
andhera mitega, aisa khud se kehte jana
yaad karna mujhe,aa jaaunga main
in andheron ko mita na paoon to kya
andar dhoop ki kiran to jaga doonga

aayegi zindagi mein fir bahar
khila khila uthe phool jaise
hogi jeevan mein nayi tarang waise


baad mein poochogi apne aks se kabhi
ye janogi wo jo main tha;
tum hi ho
tum hi ho

No comments: